Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum jo dehat se shahron ki taraf aae hain

Ashfaq Amir

hum jo dehat se shahron ki taraf aae hain

Ashfaq Amir

MORE BYAshfaq Amir

    ham jo dehāt se shahroñ taraf aa.e haiñ

    ishq aur husn ke bichhḌe hue hamsā.e haiñ

    ek be-rang se mausam havā chaltī hai

    ab na vo dhuup na peḌoñ ke ghane saa.e haiñ

    kaun phuul hameñ yaad nahīñ bachpan

    kaun rang javānī bhulā paa.e haiñ

    gard-e-ayyām-e-guzishta bhī to saath aa.ī hai

    ham tire paas akele to nahīñ aa.e haiñ

    terī āñkheñ to ujāle amiiñ haiñ ab tak

    ye añdhere to kisī aur ne phailā.e haiñ

    hum jo dehat se shahron ki taraf aae hain

    ishq aur husn ke bichhDe hue hamsae hain

    ek be-rang se mausam ki hawa chalti hai

    ab na wo dhup na peDon ke ghane sae hain

    kaun sa phul hamein yaad nahin bachpan ka

    kaun sa rang jawani ka bhula pae hain

    gard-e-ayyam-e-guzishta bhi to sath aai hai

    hum tere pas akele to nahin aae hain

    teri aankhen to ujale ki amin hain ab tak

    ye andhere to kisi aur ne phailae hain

    Source:

    رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 58)

    • Author: اشفاق عامر
      • Publisher: عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now