hum jo ghabraen zamane se to ghar jate hain

hum jo ghabraen zamane se to ghar jate hain
Shagufta Naim Hashmi
MORE BYShagufta Naim Hashmi
ham jo ghabrā.eñ zamāne se to ghar jaate haiñ
jin ke ghar hī nahīñ hote vo kidhar jaate haiñ
saarī bātoñ kī hai ik baat ki kuchh bātoñ se
dil meñ utre hue bhī dil se utar jaate haiñ
da.ave karte haiñ vahī log jo kuchh karte nahīñ
jin ko karnā ho vo kahte nahīñ kar jaate haiñ
ham ko hai naaz bahut zabt pe apne lekin
dil agar TuuTe to phir ashk biphar jaate haiñ
sūrat-e-hāl ne sūrat hī badal ke rakh dī
log hairān se takte haiñ jidhar jaate haiñ
ham to vo haiñ ki agar bahr-e-sajal meñ utreñ
naav jis ruḳh ho ta.āqub meñ bhañvar jaate haiñ
zindagī maut ke pahlū meñ simaT jā.egī
jab bhī ye sochte haiñ soch ke mar jaate haiñ
hum jo ghabraen zamane se to ghar jate hain
jin ke ghar hi nahin hote wo kidhar jate hain
sari baaton ki hai ek baat ki kuchh baaton se
dil mein utre hue bhi dil se utar jate hain
dawe karte hain wahi log jo kuchh karte nahin
jin ko karna ho wo kahte nahin kar jate hain
hum ko hai naz bahut zabt pe apne lekin
dil agar TuTe to phir ashk biphar jate hain
surat-e-haal ne surat hi badal ke rakh di
log hairan se takte hain jidhar jate hain
hum to wo hain ki agar bahr-e-sajal mein utren
naw jis ruKH ho taaqub mein bhanwar jate hain
zindagi maut ke pahlu mein simaT jaegi
jab bhi ye sochte hain soch ke mar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.