hum juDe rahte the aabaad makanon ki tarah
ham juḌe rahte the ābād makānoñ kī tarah
ab ye bāteñ hameñ lagtī haiñ fasānoñ kī tarah
pyaas meñ ghulte hue baaġh kā kyā pūchhte ho
shāḳh se phuul nikalte haiñ zabānoñ kī tarah
maiñ to is shahr meñ rukne ke liye aayā thā
lekin is shahr ke raste haiñ Dhalānoñ kī tarah
raat ko der se lauTūñ to mohalle ke makān
ghūrte haiñ mujhe dushman ke Thikānoñ kī tarah
maañ ke hote kabhī sochā hī nahīñ thā 'tābish'
ghar bikhar jā.egā tasbīh ke dānoñ kī tarah
hum juDe rahte the aabaad makanon ki tarah
ab ye baaten hamein lagti hain fasanon ki tarah
pyas mein ghulte hue bagh ka kya puchhte ho
shaKH se phul nikalte hain zabanon ki tarah
main to is shahr mein rukne ke liye aaya tha
lekin is shahr ke raste hain Dhalanon ki tarah
raat ko der se lauTun to mohalle ke makan
ghurte hain mujhe dushman ke Thikanon ki tarah
man ke hote kabhi socha hi nahin tha 'tabish'
ghar bikhar jaega tasbih ke danon ki tarah
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 106)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.