Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum kar chuke jab nur se tamir KHuda ki

Mubashshir Ali Zaidi

hum kar chuke jab nur se tamir KHuda ki

Mubashshir Ali Zaidi

MORE BYMubashshir Ali Zaidi

    ham kar chuke jab nuur se ta.amīr ḳhudā

    phir chāroñ taraf ḳhuub tash.hīr ḳhudā

    duniyā huī ābād magar vo rahā tanhā

    majbūr hai kyā kījiye taqdīr ḳhudā

    dekhe na sune baat jo ushshāq apne

    is but meñ nazar aatī hai tasvīr ḳhudā

    mullā ne rivāyāt-o-hikāyāt baḌhā.īñ

    tafsīr meñ gum ho ga.ī tahrīr ḳhudā

    yak-jān hue ādam-o-iblīs ke aage

    aksar nahīñ chaltī koī tadbīr ḳhudā

    hum kar chuke jab nur se tamir KHuda ki

    phir chaaron taraf KHub ki tashhir KHuda ki

    duniya hui aabaad magar wo raha tanha

    majbur hai kya kijiye taqdir KHuda ki

    dekhe na sune baat jo ushshaq ki apne

    is but mein nazar aati hai taswir KHuda ki

    mulla ne riwayat-o-hikayat baDhain

    tafsir mein gum ho gai tahrir KHuda ki

    yak-jaan hue aadam-o-iblis ke aage

    aksar nahin chalti koi tadbir KHuda ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now