Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ki har dam teri KHushbu se bhare rahte hain

Ain Irfan

hum ki har dam teri KHushbu se bhare rahte hain

Ain Irfan

MORE BYAin Irfan

    ham ki har dam tirī ḳhushbū se bhare rahte haiñ

    ḳhushk mausam meñ isī taur hare rahte haiñ

    jin ke hone se huā diid dariyā raushan

    haa.e vo log āñkhoñ se pare rahte haiñ

    dasht-e-ḳhāmosh meñ ug aa.egā āvāz phuul

    isī ummīd pe sab kaan dhare rahte haiñ

    phir achānak chalā aatā hai vo hijr din

    jis ke imkān se har raat Dare rahte haiñ

    bhūle jaate haiñ vahī kaam jo lāzim ho bahut

    aur jo ġhair-zarūrī ho kare rahte haiñ

    sabz ho jaate haiñ sab ḳhvāb sahar hote

    raat ke vaqt jo kambaḳht mare rahte haiñ

    hum ki har dam teri KHushbu se bhare rahte hain

    KHushk mausam mein isi taur hare rahte hain

    jin ke hone se hua did ka dariya raushan

    hae wo log hi aankhon se pare rahte hain

    dasht-e-KHamosh mein ug aaega aawaz ka phul

    isi ummid pe sab kan dhare rahte hain

    phir achanak hi chala aata hai wo hijr ka din

    jis ke imkan se har raat Dare rahte hain

    bhule jate hain wahi kaam jo lazim ho bahut

    aur jo ghair-zaruri ho kare rahte hain

    sabz ho jate hain sab KHwab sahar hote hi

    raat ke waqt jo kambaKHt mare rahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now