Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ki the KHush-fahm din ki be-panahi dekh kar

Khumar Mirzada

hum ki the KHush-fahm din ki be-panahi dekh kar

Khumar Mirzada

MORE BYKhumar Mirzada

    ham ki the ḳhush-fahm din be-panāhī dekh kar

    haath malte rah ga.e shab siyāhī dekh kar

    kaun dāman dekhtā hai kaun suntā hai dalīl

    jurm sābit ho rahā hai be-gunāhī dekh kar

    ham na kahte the dinoñ meñ ik hamārā din bhī hai

    din badalte haiñ hamārī dād-ḳhvāhī dekh kar

    dilbarī se ḳhud-parastī ne rakhā nā-āshnā

    rukte rukte ruk ga.e ham kam-nigāhī dekh kar

    harf-e-be-ma.anī se behtar hai navā-e-be-sadā

    ro paḌā maiñ vaqt vīrāñ-nigāhī dekh kar

    ḳhaak par likkhe ga.e ham ḳhaak par rakkhe ga.e

    lahlahā.e sabzagī ḳhush-giyāhī dekh kar

    dil-nashīñ hai ġhuncha-e-nau-vaqt lekin kab talak

    dil lahū hai shāḳh-e-gul kaj-kulāhī dekh kar

    kitne aise dard haiñ jin davā chāhī ga.ī

    sochtā huuñ zaḳhm-e-dil bār-gāhī dekh kar

    dīda-e-sailāb-jū dasht-pairā.ī ḳhumār

    ālam-e-ḳhāshāk dekhī tabāhī dekh kar

    hum ki the KHush-fahm din ki be-panahi dekh kar

    hath malte rah gae shab ki siyahi dekh kar

    kaun daman dekhta hai kaun sunta hai dalil

    jurm sabit ho raha hai be-gunahi dekh kar

    hum na kahte the dinon mein ek hamara din bhi hai

    din badalte hain hamari dad-KHwahi dekh kar

    dilbari se KHud-parasti ne rakha na-ashna

    rukte rukte ruk gae hum kam-nigahi dekh kar

    harf-e-be-mani se behtar hai nawa-e-be-sada

    ro paDa main waqt ki viran-nigahi dekh kar

    KHak par likkhe gae hum KHak par rakkhe gae

    lahlahae sabzagi ki KHush-giyahi dekh kar

    dil-nashin hai ghuncha-e-nau-waqt lekin kab talak

    dil lahu hai shaKH-e-gul ki kaj-kulahi dekh kar

    kitne aise dard hain jin ki dawa chahi gai

    sochta hun zaKHm-e-dil ki bar-gahi dekh kar

    dida-e-sailab-ju ki dasht-pairai KHumar

    aalam-e-KHashak ki dekhi tabahi dekh kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now