Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum kisi ki bhi kabhi aankh ke tare na hue

Sardar Khan Soz

hum kisi ki bhi kabhi aankh ke tare na hue

Sardar Khan Soz

MORE BYSardar Khan Soz

    ham kisī bhī kabhī aañkh ke taare na hue

    jin ko chāhā thā bahut vo bhī hamāre na hue

    Dūbte naav ko dekheñ mirī jin ko thī ye fikr

    haa.e afsos vo dariyā ke kināre na hue

    jo niko-kār the duniyā se vo uThte ga.e

    the jo bad-kār vo allāh ko pyāre na hue

    kaun sub.h vo ban kar na lab-e-bām aa.ī

    kaun shaam ko khiḌkī se ishāre na hue

    ye mohabbat to nahīñ ye hai mohabbat fareb

    ham tumhāre na hue tum bhī hamāre na hue

    ātish-e-dil bhī kuchh soz nihāñ thā is meñ

    mere ashkoñ ke muqābil to sharāre na hue

    'soz' ko yaad to guzre hue din kam haiñ magar

    mahv dil se jo tire saath guzāre na hue

    hum kisi ki bhi kabhi aankh ke tare na hue

    jin ko chaha tha bahut wo bhi hamare na hue

    Dubte naw ko dekhen meri jin ko thi ye fikr

    hae afsos wo dariya ke kinare na hue

    jo niko-kar the duniya se wo uThte hi gae

    the jo bad-kar wo allah ko pyare na hue

    kaun si subh wo ban kar na lab-e-baam aai

    kaun si sham ko khiDki se ishaare na hue

    ye mohabbat to nahin ye hai mohabbat ka fareb

    hum tumhaare na hue tum bhi hamare na hue

    aatish-e-dil ka bhi kuchh soz nihan tha is mein

    mere ashkon ke muqabil to sharare na hue

    'soz' ko yaad to guzre hue din kam hain magar

    mahw dil se jo tere sath guzare na hue

    Source:

    Soz-e-Dil (Pg. 144)

    • Author: Sardar Khan Soz
      • Publisher: Eastern Arts Form America
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now