Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum kisi paikar-e-marmar ki taraf kya dekhen

Saghar Mehdi

hum kisi paikar-e-marmar ki taraf kya dekhen

Saghar Mehdi

MORE BYSaghar Mehdi

    ham kisī paikar-e-marmar taraf kyā dekheñ

    aa.ina dekh ke patthar taraf kyā dekheñ

    dekhnā hai to kabhī Duub ke dekheñge use

    is bulandī se samundar taraf kyā dekheñ

    sāmne jo hai vo manzar nahīñ dekhā jaatā

    sar pe laTke hue ḳhanjar taraf kyā dekheñ

    band kamre meñ ghuTan hai magar uljhan to nahīñ

    khiḌkiyāñ khol ke bāhar taraf kyā dekheñ

    ham ko ma.alūm hai har lamha-e-hastī hisāb

    uTh ke har sub.h calendar taraf kyā dekheñ

    hum kisi paikar-e-marmar ki taraf kya dekhen

    aaina dekh ke patthar ki taraf kya dekhen

    dekhna hai to kabhi Dub ke dekhenge use

    is bulandi se samundar ki taraf kya dekhen

    samne jo hai wo manzar nahin dekha jata

    sar pe laTke hue KHanjar ki taraf kya dekhen

    band kamre mein ghuTan hai magar uljhan to nahin

    khiDkiyan khol ke bahar ki taraf kya dekhen

    hum ko malum hai har lamha-e-hasti ka hisab

    uTh ke har subh calendar ki taraf kya dekhen

    Source:

    Harf-e-Jaan (Pg. 40)

    • Author: Saghar Mehdi
      • Publisher: Saghar Academy, Bahraich
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now