Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ko chheDa to machal jaenge arman ki tarah

D. Raj Kanwal

hum ko chheDa to machal jaenge arman ki tarah

D. Raj Kanwal

MORE BYD. Raj Kanwal

    ham ko chheḌā to machal jā.eñge armāñ tarah

    ham pareshāñ haiñ tirī zulf-e-pareshāñ tarah

    har galī aa.ī nazar kūcha-e-jānāñ tarah

    ham ko duniyā ye lagī shahr-e-nigārāñ tarah

    kam na hogī ye ḳhalish dil kisī bhī sūrat

    dil meñ sau ġham haiñ makīñ ḳhār-e-muġhīlāñ tarah

    log ruk ruk ke chale jānib-e-manzil lekin

    ham rahe garm-e-safar gardish-e-daurāñ tarah

    ab to har shaḳhs pe hotā hai gumāñ qātil

    koī miltā nahīñ aadmī insāñ tarah

    ham ne baḳhshe haiñ añdheroñ ko ujāle lekin

    ham be-nūr rahe gor-e-ġharībāñ tarah

    ham 'kañval' aap meñ rahte haiñ magar us se alag

    ham to gulshan meñ bhī rahte haiñ bayābāñ tarah

    hum ko chheDa to machal jaenge arman ki tarah

    hum pareshan hain teri zulf-e-pareshan ki tarah

    har gali aai nazar kucha-e-jaanan ki tarah

    hum ko duniya ye lagi shahr-e-nigaran ki tarah

    kam na hogi ye KHalish dil ki kisi bhi surat

    dil mein sau gham hain makin KHar-e-mughilan ki tarah

    log ruk ruk ke chale jaanib-e-manzil lekin

    hum rahe garm-e-safar gardish-e-dauran ki tarah

    ab to har shaKHs pe hota hai guman qatil ka

    koi milta hi nahin aadmi insan ki tarah

    hum ne baKHshe hain andheron ko ujale lekin

    hum hi be-nur rahe gor-e-ghariban ki tarah

    hum 'kanwal' aap mein rahte hain magar us se alag

    hum to gulshan mein bhi rahte hain bayaban ki tarah

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 22)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now