Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ko masti o KHwari aai

Sahir Hoshiyarpuri

hum ko masti o KHwari aai

Sahir Hoshiyarpuri

MORE BYSahir Hoshiyarpuri

    ham ko mastī o ḳhvārī aa.ī

    tum ko duniyā-dārī aa.ī

    dil-jūī dildārī aa.ī

    tum ko bhī ye ayyārī aa.ī

    phuul ko ham ne jab bhī chhuā hai

    haath meñ ik chiñgārī aa.ī

    saaqī gum ḳhālī mai-ḳhāna

    kaisī ye bād-e-bahārī aa.ī

    husn vahī hai husn ki jis ko

    sādgī o purkārī aa.ī

    mushkil jab āsān huī to

    ulfat meñ dushvārī aa.ī

    maqtal meñ ik shor bapā hai

    aa.ī merī baaī aa.ī

    husn har ma.asūm nazar se

    dil par zarb-e-kārī aa.ī

    sub.h se dil masrūr hai 'sāhir'

    raat ye ham par bhārī aa.ī

    hum ko masti o KHwari aai

    tum ko duniya-dari aai

    dil-jui dildari aai

    tum ko bhi ye ayyari aai

    phul ko hum ne jab bhi chhua hai

    hath mein ek chingari aai

    saqi gum KHali mai-KHana

    kaisi ye baad-e-bahaari aai

    husn wahi hai husn ki jis ko

    sadgi o purkari aai

    mushkil jab aasan hui to

    ulfat mein dushwari aai

    maqtal mein ek shor bapa hai

    aai meri bai aai

    husn ki har masum nazar se

    dil par zarb-e-kari aai

    subh se dil masrur hai 'sahir'

    raat ye hum par bhaari aai

    Source:

    Sehr e Naghma (Pg. 85)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now