Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ko to rabt-e-KHas hai dar-o-rasan ke sath

Shamsii Meenai

hum ko to rabt-e-KHas hai dar-o-rasan ke sath

Shamsii Meenai

MORE BYShamsii Meenai

    ham ko to rabt-e-ḳhās hai dār-o-rasan ke saath

    jiine aarzū hai magar bāñkpan ke saath

    dil meñ hamāre shauq hai ġham hai umiid hai

    sahrā-navardiyāñ haiñ magar anjuman ke saath

    hairat se barhamī adā dekhte rahe

    kitnī kahāniyāñ thī jabīñ par shikan ke saath

    ab ḳhairiyat kahāñ hai nigāh-e-shu.ūr

    uljhī huī hai zulf-e-shikan-dar-shikan ke saath

    mere lahū rañg to rañg-e-shafaq nahīñ

    tā-umr ye rahegā tire pairahan ke saath

    un ke liye kahīñ bhī koī anjuman nahīñ

    jin mizāj Dhaltā hai har anjuman ke saath

    duniyā meñ kaun ham hai muhtāj-e-rahbarī

    ghabrā ke chal diye haiñ jo ik rāhzan ke saath

    jo kuchh bhī hai vo jaise isī zindagī meñ hai

    duniyā barat rahe haiñ ham aise jatan ke saath

    hum ko to rabt-e-KHas hai dar-o-rasan ke sath

    jine ki aarzu hai magar bankpan ke sath

    dil mein hamare shauq hai gham hai umid hai

    sahra-nawardiyan hain magar anjuman ke sath

    hairat se barhami ki ada dekhte rahe

    kitni kahaniyan thi jabin par shikan ke sath

    ab KHairiyat kahan hai nigah-e-shuur ki

    uljhi hui hai zulf-e-shikan-dar-shikan ke sath

    mere lahu ka rang to rang-e-shafaq nahin

    ta-umr ye rahega tere pairahan ke sath

    un ke liye kahin bhi koi anjuman nahin

    jin ka mizaj Dhalta hai har anjuman ke sath

    duniya mein kaun hum sa hai muhtaj-e-rahbari

    ghabra ke chal diye hain jo ek rahzan ke sath

    jo kuchh bhi hai wo jaise isi zindagi mein hai

    duniya barat rahe hain hum aise jatan ke sath

    Source:

    Shair-e-Khushnawa Hazrat Shamsi Meenai (Pg. 58)

      • Publisher: Usman Shamsi Meenai
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now