Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ko waiz na bagh-e-iram chahiye

Wafa Niyazi

hum ko waiz na bagh-e-iram chahiye

Wafa Niyazi

MORE BYWafa Niyazi

    ham ko vaa.iz na bāġh-e-iram chāhiye

    ek un nigāh-e-karam chāhiye

    dahr ho ki ka.aba ho but-ḳhāna ho

    kuchh bhī ho mujh ko apnā sanam chāhiye

    dil hamesha jis meñ ulajhtā rahe

    un zulfoñ ke vo pech-o-ḳham chāhiye

    jis meñ apne sanam tasavvur na ho

    vo ḳhushī chāhiye aur na ġham chāhiye

    un baḳhshish koī Thikāna nahīñ

    dāman-e-ma.asiyat apnā nam chāhiye

    chashm-e-maigūñ se jis maiñ sarshār huuñ

    haañ mujhe vo pīr-e-haram chāhiye

    hum ko waiz na bagh-e-iram chahiye

    ek un ki nigah-e-karam chahiye

    dahr ho ya ki kaba ho but-KHana ho

    kuchh bhi ho mujh ko apna sanam chahiye

    dil hamesha hi jis mein ulajhta rahe

    un ki zulfon ke wo pech-o-KHam chahiye

    jis mein apne sanam ka tasawwur na ho

    wo KHushi chahiye aur na gham chahiye

    un ki baKHshish ka koi Thikana nahin

    daman-e-masiyat apna nam chahiye

    chashm-e-maigun se jis ki main sarshaar hun

    han mujhe wo hi pir-e-haram chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now