Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum kufr se waqif hain na islam se waqif

Kuldeep Gauhar

hum kufr se waqif hain na islam se waqif

Kuldeep Gauhar

MORE BYKuldeep Gauhar

    ham kufr se vāqif haiñ na islām se vāqif

    haiñ maz.habī parḳhāsh ke anjām se vāqif

    tā-umr rahe haiñ jo mai-o-jām se vāqif

    ho paa.e na vo gardish-e-ayyām se vāqif

    tanvīr-e-sahar jin nigāhoñ meñ basī ho

    kab hote haiñ vo tīrgi-e-shām se vāqif

    manzil pe pahuñchnā hameñ dushvār nahīñ hai

    ham haiñ ba-ḳhudā apne har ik gaam se vāqif

    paikar meñ har ik shaḳhs ke partav hai usī

    har shaḳhs hai us hastī-e-be-nām se vāqif

    tadbīr ḳhūbī ise kahiye ki vafā meñ

    ham ho na sake hasrat-e-nākām se vāqif

    ho paa.e na vo azmat-e-hastī se shanāsā

    jo ho na sake haiñ ġham-o-ālām se vāqif

    vijdān pe ik barq lahrā.ī thī 'gauhar'

    ho paa.e hamīñ haif na ilhām se vāqif

    hum kufr se waqif hain na islam se waqif

    hain mazhabi parKHash ke anjam se waqif

    ta-umr rahe hain jo mai-o-jam se waqif

    ho pae na wo gardish-e-ayyam se waqif

    tanwir-e-sahar jin ki nigahon mein basi ho

    kab hote hain wo tirgi-e-sham se waqif

    manzil pe pahunchna hamein dushwar nahin hai

    hum hain ba-KHuda apne har ek gam se waqif

    paikar mein har ek shaKHs ke partaw hai usi ka

    har shaKHs hai us hasti-e-be-nam se waqif

    tadbir ki KHubi ise kahiye ki wafa mein

    hum ho na sake hasrat-e-nakaam se waqif

    ho pae na wo azmat-e-hasti se shanasa

    jo ho na sake hain gham-o-alam se waqif

    wijdan pe ek barq si lahrai thi 'gauhar'

    ho pae hamin haif na ilham se waqif

    Source:

    Rooh-e-Jazbaat (Pg. 41)

    • Author: Kuldeep Gauhar
      • Publisher: Kuldeep Gauhar
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now