Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum kya ki hadd-e-nazar tak sarab ki surat

Nasr Ghazali

hum kya ki hadd-e-nazar tak sarab ki surat

Nasr Ghazali

MORE BYNasr Ghazali

    ham kyā ki hadd-e-nazar tak sarāb sūrat

    na ḳhaak ḳhaak na ab aab aab sūrat

    khulā thā maiñ bhī kabhī ik gulāb sūrat

    tamām 'umr jalā āftāb sūrat

    kināra kaaT rahā huuñ vajūd apne

    paTak rahā huuñ maiñ sar mauj-e-āb sūrat

    zabāñ jo suukh rahī hai to kuchh sabab bhī hai

    samundaroñ meñ rahā huuñ habāb sūrat

    barūn-e-shahr kyā ki darūn-e-shahr bhī hai

    sulagte lamhoñ sūraj itaab sūrat

    ye ḳhālī ḳhālī shab lamha-e-siyah se bharī

    dikhā.ī tak nahīñ detī hai ḳhvāb sūrat

    zamīn-e-jism ke andar jo zalzale haiñ bapā

    unheñ chhupā.egī kab tak janāb sūrat

    hum kya ki hadd-e-nazar tak sarab ki surat

    na KHak KHak na ab aab aab ki surat

    khula tha main bhi kabhi ek gulab ki surat

    tamam 'umr jala aaftab ki surat

    kinara kaT raha hun wajud ka apne

    paTak raha hun main sar mauj-e-ab ki surat

    zaban jo sukh rahi hai to kuchh sabab bhi hai

    samundaron mein raha hun habab ki surat

    barun-e-shahr hi kya ki darun-e-shahr bhi hai

    sulagte lamhon ka suraj itab ki surat

    ye KHali KHali si shab lamha-e-siyah se bhari

    dikhai tak nahin deti hai KHwab ki surat

    zamin-e-jism ke andar jo zalzale hain bapa

    unhen chhupaegi kab tak janab ki surat

    Source:

    Lahoo Ka Dard (Pg. 34)

    • Author: Nasr Ghazali
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now