Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh

Abdul Mateen Niyaz

ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh

Abdul Mateen Niyaz

MORE BYAbdul Mateen Niyaz

    ham-nafas ḳhvāb-e-junūñ koī ta.abīr na dekh

    raqs karnā hai to phir paañv zanjīr na dekh

    kisī husn-e-jahāñ-soz tasvīr na dekh

    apne guzre hue hālāt tafsīr na dekh

    husn-e-tadbīr se taqdīr badal de apnī

    jo hai hālāt se mansūb vo taqdīr na dekh

    parastār-e-amal hai to amal ḳhātir

    ḳhvāb-e-rañgīñ qasam ḳhvāb ta.abīr na dekh

    razm-e-hastī se guzarnā hai agar tujh ko 'niyāz'

    zulmat-e-shab ko samajh sub.h tanvīr na dekh

    ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh

    raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh

    tu kisi husn-e-jahan-soz ki taswir na dekh

    apne guzre hue haalat ki tafsir na dekh

    husn-e-tadbir se taqdir badal de apni

    jo hai haalat se mansub wo taqdir na dekh

    tu parastar-e-amal hai to amal ki KHatir

    KHwab-e-rangin ki qasam KHwab ki tabir na dekh

    razm-e-hasti se guzarna hai agar tujh ko 'niyaz'

    zulmat-e-shab ko samajh subh ki tanwir na dekh

    Source:

    Naghma-e-Shuoor (Pg. 66)

    • Author: Abdul Mateen Niyaz
      • Edition: 1967
      • Publisher: Markaz-e-Adab, Bhopal
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now