Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-nawa mere mujhse juda ho gae

Aseer Jabalpuri

ham-nawa mere mujhse juda ho gae

Aseer Jabalpuri

MORE BYAseer Jabalpuri

    ham-navā mere mujh se judā ho ga.e

    vo ḳhafā kyā hue sab ḳhafā ho ga.e

    husn rāz-e-sar-basta khul jā.egā

    lāla-o-gul agar lab-kushā ho ga.e

    aap apne jalve the pesh-e-nazar

    hasrateñ baḌh ga.iiñ aa.ina ho ga.e

    ye mirā fan ki maiñ ne tarāshā jinheñ

    pattharoñ ke vo but sab ḳhudā ho ga.e

    jab se mahfil meñ tum jān-e-mahfil hue

    bevafā sab ke sab bā-vafā ho ga.e

    kaam aa gayā apnā dīvāna-pan

    lazzat-e-sang se āshnā ho ga.e

    'asīr' apnī āñkhoñ meñ jin ko jagah

    shahr-e-dil ke vo farmāñ-ravā ho ga.e

    ham-nawa mere mujh se juda ho gae

    wo KHafa kya hue sab KHafa ho gae

    husn ka raaz-e-sar-basta khul jaega

    lala-o-gul agar lab-kusha ho gae

    aap apne hi jalwe the pesh-e-nazar

    hasraten baDh gain aaina ho gae

    ye mera fan ki main ne tarasha jinhen

    pattharon ke wo but sab KHuda ho gae

    jab se mahfil mein tum jaan-e-mahfil hue

    bewafa sab ke sab ba-wafa ho gae

    kaam aa hi gaya apna diwana-pan

    lazzat-e-sang se aashna ho gae

    di 'asir' apni aankhon mein jin ko jagah

    shahr-e-dil ke wo farman-rawa ho gae

    Source:

    Toote Khilone (Pg. 66)

    • Author: Aseer Jabalpuri
      • Publisher: Aseer Jabalpuri
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now