Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne bandhe hain us pe kya kya joD

Shad Lakhnavi

humne bandhe hain us pe kya kya joD

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    ham ne bāñdhe haiñ us pe kyā kyā joḌ

    par chalā ek bhī na fiqrā joḌ

    joḌtā hai jo mohabbat

    ham se zunnār-dār rishtā joḌ

    sar-e-dushman na toḌiye kab tak

    mujh pe chaltā hai vo hamesha joḌ

    ai rafū-gar jo Taañk jāma-e-tan

    taar taar aur purza purza joḌ

    zulfiqār-e-alī tujh ko qasam

    sar judā jis se ho vo fiqrā joḌ

    nisbat-e-zulf jaise sumbul ko

    vaise naafe mushk naafā joḌ

    ham usī ko kaheñge ā.īna-sāz

    de hamārā jo dil shikasta joḌ

    mazhara be 'shād' urdu meñ

    jāntā huuñ alif hai joḌ

    hum ne bandhe hain us pe kya kya joD

    par chala ek bhi na fiqra joD

    joDta hai jo tu mohabbat ka

    hum se zunnar-dar rishta joD

    sar-e-dushman na toDiye kab tak

    mujh pe chalta hai wo hamesha joD

    ai rafu-gar jo Tank jama-e-tan

    tar tar aur purza purza joD

    zulfiqar-e-ali ki tujh ko qasam

    sar juda jis se ho wo fiqra joD

    nisbat-e-zulf jaise sumbul ko

    waise nafe ka mushk nafa joD

    hum usi ko kahenge aaina-saz

    de hamara jo dil shikasta joD

    mazhara be ka 'shad' urdu mein

    jaanta hun alif hi hai ka joD

    Source:

    Sukhan-e-Bemisal: Deewan-e-Shad (pdf) and website (Pg. p-44 e-50 pdf-51)

    • Author: Shad Lakhnavi
      • Edition: 1901
      • Publisher: Matbaa Tasweer-e- Alam, Lucknow
      • Year of Publication: 1901
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now