Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne buton ko ram kiya tumne kya kiya

Khaleel-ul-Huda Shariq Niyazi

humne buton ko ram kiya tumne kya kiya

Khaleel-ul-Huda Shariq Niyazi

MORE BYKhaleel-ul-Huda Shariq Niyazi

    ham ne butoñ ko raam kiyā tum ne kyā kiyā

    ham ne ḳhayāl-e-ḳhām kiyā tum ne kyā kiyā

    ham ne to pā-e-nāzuk-e-jānāñ pe jaan

    sajda kiyā qiyām kiyā tum ne kyā kiyā

    dīvāngī meñ hosh bāteñ kiyā kiye

    ham ne ye ehtimām kiyā tum ne kyā kiyā

    gahre haiñ ghaav dil ke pa tum se gila nahīñ

    ye to zabāñ ne kaam kiyā tum ne kyā kiyā

    kis sādgī se kahte haiñ mar jaa.eñ ahl-e-dil

    ham ne to qatl-e-ām kiyā tum ne kyā kiyā

    va.ade sub.h shaam huī phir bhī tum na aa.e

    ham ne sahar ko shaam kiyā tum ne kyā kiyā

    kyoñ nā-tamām rah na ga.ī dil dāstāñ

    qissa kahāñ tamām kiyā tum ne kyā kiyā

    'shāriq' salām us ne liyā haañ liyā zarūr

    kis shaḳhs ko salām kiyā tum ne kyā kiyā

    hum ne buton ko ram kiya tum ne kya kiya

    hum ne KHayal-e-KHam kiya tum ne kya kiya

    hum ne to pa-e-nazuk-e-jaanan pe jaan di

    sajda kiya qiyam kiya tum ne kya kiya

    diwangi mein hosh ki baaten kiya kiye

    hum ne ye ehtimam kiya tum ne kya kiya

    gahre hain ghaw dil ke pa tum se gila nahin

    ye to zaban ne kaam kiya tum ne kya kiya

    kis sadgi se kahte hain mar jaen ahl-e-dil

    hum ne to qatl-e-am kiya tum ne kya kiya

    wade ki subh sham hui phir bhi tum na aae

    hum ne sahar ko sham kiya tum ne kya kiya

    kyon na-tamam rah na gai dil ki dastan

    qissa kahan tamam kiya tum ne kya kiya

    'shaariq' salam us ne liya han liya zarur

    kis shaKHs ko salam kiya tum ne kya kiya

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 68)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now