humne dekha hai uski aankhon mein
ham ne dekhā hai us kī āñkhoñ meñ
ek duniyā hai us kī āñkhoñ meñ
zulmat-o-nūr saath rahte haiñ
aisā kamrā hai us kī āñkhoñ meñ
qalb-e-majnūñ se aa rahī hai sadā
husn-e-lailā hai us kī āñkhoñ meñ
tishna-lab sab usī ko takte haiñ
koī dariyā hai us kī āñkhoñ meñ
khīñch letā hai sab ko apnī taraf
koī aisā hai us kī āñkhoñ meñ
'ishq kā taaj pahne mohsin azal
jalva-farmā hai us kī āñkhoñ meñ
gosh-e-dil se agar suno 'sāhib'
koī goyā hai us kī āñkhoñ meñ
hum ne dekha hai us ki aankhon mein
ek duniya hai us ki aankhon mein
zulmat-o-nur sath rahte hain
aisa kamra hai us ki aankhon mein
qalb-e-majnun se aa rahi hai sada
husn-e-laila hai us ki aankhon mein
tishna-lab sab usi ko takte hain
koi dariya hai us ki aankhon mein
khinch leta hai sab ko apni taraf
koi aisa hai us ki aankhon mein
'ishq ka taj pahne mohsin azal
jalwa-farma hai us ki aankhon mein
gosh-e-dil se agar suno 'sahib'
koi goya hai us ki aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.