humne jis roz pi nahin hoti
ham ne jis roz pī nahīñ hotī
zindagī zindagī nahīñ hotī
raat ko ḳhvāb dekhne ke liye
aañkh meñ niiñd hī nahīñ hotī
sub.h jis vaqt shahr aatī hai
koī khiḌkī khulī nahīñ hotī
dil to hotā hai baar baar javān
'umr kī vāpsī nahīñ hotī
ḳhushī hotī hai aaj bhī lekin
kuchh ziyāda ḳhushī nahīñ hotī
uThte jaate haiñ log duniyā se
aur koī kamī nahīñ hotī
kaun sā din nayā nahīñ hotā
kaun sī shab na.ī nahīñ hotī
be piye koī kyā ġhazal chheḌe
koft meñ shā'irī nahīñ hotī
ham bhī hote haiñ go udaas 'sha'ūr'
aisī afsurdagī nahīñ hotī
hum ne jis roz pi nahin hoti
zindagi zindagi nahin hoti
raat ko KHwab dekhne ke liye
aankh mein nind hi nahin hoti
subh jis waqt shahr aati hai
koi khiDki khuli nahin hoti
dil to hota hai bar bar jawan
'umr ki wapsi nahin hoti
KHushi hoti hai aaj bhi lekin
kuchh ziyaada KHushi nahin hoti
uThte jate hain log duniya se
aur koi kami nahin hoti
kaun sa din naya nahin hota
kaun si shab nai nahin hoti
be piye koi kya ghazal chheDe
koft mein sha'iri nahin hoti
hum bhi hote hain go udas 'sha'ur'
aisi afsurdagi nahin hoti
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 90)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.