humne jo apne adl ki talwar Tang di
ham ne jo apne 'adl kī talvār Taañg dī
ab lag rahā hai jaise ki bekār Taañg dī
is paar Tāñgnī thī jo us paar Taañg dī
tasvīr-e-yār kyoñ pas-e-dīvār Taañg dī
pūchhā jo maiñ ne daam vafā aur ḳhulūs kā
qīmat ke saath us ne bhī miqdār Taañg dī
lahrā ke apnī reshmī zulf-e-siyāh meñ
merī tamām shoḳhī-e-guftār Taañg dī
karne lagā jo tark-e-ta'alluq se guftugū
gardan meñ mere kākul-e-ḳhamdār Taañg dī
dil se nikāl dūñgā maiñ tasvīr-e-bevafā
har baar utārtā rahā har baar Taañg dī
dī maut se baḌī sazā us ne salīb se
mujh ko utaar kar mirī dastār Taañg dī
hum ne jo apne 'adl ki talwar Tang di
ab lag raha hai jaise ki bekar Tang di
is par Tangni thi jo us par Tang di
taswir-e-yar kyon pas-e-diwar Tang di
puchha jo main ne dam wafa aur KHulus ka
qimat ke sath us ne bhi miqdar Tang di
lahra ke apni reshmi zulf-e-siyah mein
meri tamam shoKHi-e-guftar Tang di
karne laga jo tark-e-ta'alluq se guftugu
gardan mein mere kakul-e-KHamdar Tang di
dil se nikal dunga main taswir-e-bewafa
har bar utarta raha har bar Tang di
di maut se baDi saza us ne salib se
mujh ko utar kar meri dastar Tang di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.