Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne mana ki taghaful teri aadat hai zarur

Tameezuddin Tameez Dehlvi

humne mana ki taghaful teri aadat hai zarur

Tameezuddin Tameez Dehlvi

MORE BYTameezuddin Tameez Dehlvi

    ham ne maanā ki taġhāful terī aadat hai zarūr

    terī uftād meñ shoḳhī-o-sharārat hai zarūr

    yuuñ to us ne kiyā iz.hār-e-nadāmat hai zarūr

    aisā lagtā hai koī is meñ sharārat hai zarūr

    ġhair se sun ke mirā haal ta.assuf se kahā

    jo ye sach hai to burī chiiz mohabbat hai zarūr

    vāqi.a ye hai ki insān hai majbūr mahz

    sāneha ye hai ki muḳhtār kahāvat hai zarūr

    bāda-ḳhvāroñ meñ koī baat to hai ai saaqī

    un ke dam se tire maiḳhāne zīnat hai zarūr

    hum ne mana ki taghaful teri aadat hai zarur

    teri uftad mein shoKHi-o-shararat hai zarur

    yun to us ne kiya izhaar-e-nadamat hai zarur

    aisa lagta hai koi is mein shararat hai zarur

    ghair se sun ke mera haal tassuf se kaha

    jo ye sach hai to buri chiz mohabbat hai zarur

    waqia ye hai ki insan hai majbur mahz

    saneha ye hai ki muKHtar kahawat hai zarur

    baada-KHwaron mein koi baat to hai ai saqi

    un ke dam se tere maiKHane ki zinat hai zarur

    Source:

    Shauq Ka Daftar (Pg. e-55 p-54)

    • Author: Tameezuddin Tameez Dehlvi
      • Edition: 2004
      • Publisher: Urdu Academy, Delhi
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now