Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne maiKHane ki taqdis bacha li hoti

Ezaz Afzal

humne maiKHane ki taqdis bacha li hoti

Ezaz Afzal

MORE BYEzaz Afzal

    ham ne maiḳhāne taqdīs bachā hotī

    koī botal to yahāñ ḳhuun se ḳhālī hotī

    is buniyād agar zohd ne Daalī hotī

    diin tarah ye duniyā bhī ḳhayālī hotī

    anjuman dāġh-e-jigar mutahammil na huī

    kaash ham ne bhī koī sham.a jalā hotī

    sach to ye hai kahā gar jurm na sābit hotā

    ham ne ḳhud maañg ke jiine sazā hotī

    aaj is moḌ pe ham haiñ ki agar bas chaltā

    lauT jaane koī raah nikālī hotī

    tum ne qānūn meñ tarmīm zahmat kyuuñ

    ham ne ḳhud qaid mī.ād baḌhā hotī

    vus.at-e-shauq ne rakkhā na kahīñ ham ko

    varna har dil meñ jagah apnī banā hotī

    hum ne maiKHane ki taqdis bacha li hoti

    koi botal to yahan KHun se KHali hoti

    is ki buniyaad agar zohd ne Dali hoti

    din ki tarah ye duniya bhi KHayali hoti

    anjuman dagh-e-jigar ki mutahammil na hui

    kash hum ne bhi koi shama jala li hoti

    sach to ye hai kaha gar jurm na sabit hota

    hum ne KHud mang ke jine ki saza li hoti

    aaj is moD pe hum hain ki agar bas chalta

    lauT jaane ki koi rah nikali hoti

    tum ne qanun mein tarmim ki zahmat kyun ki

    hum ne KHud qaid ki miad baDha li hoti

    wusat-e-shauq ne rakkha na kahin ka hum ko

    warna har dil mein jagah apni bana li hoti

    Source:

    Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 87)

    • Author: Aizaz Afzal
      • Publisher: Usmania Book Depot
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now