Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne raste mein koi shama jala di hoti

Shahnaz Naqvi

humne raste mein koi shama jala di hoti

Shahnaz Naqvi

MORE BYShahnaz Naqvi

    ham ne raste meñ koī sham.a jalā hotī

    duur se jo kabhī tum ne sadā hotī

    mere sab giit tumhāre liye haiñ shāyad

    tum ne in gītoñ meñ āvāz milā hotī

    tum ne to kuchh bhī na kahne qasam khaa.ī thī

    baat jo dil meñ thī ham ne batā hotī

    bhiig jaanī thiiñ is tarah tumhārī palkeñ

    vo kahānī jo tumheñ ham ne sunā hotī

    shāyad insān jiinā bahut mushkil thā

    raaz baat jo qudrat ne batā hotī

    'nāz' bachpan meñ kināre se vo lag jaatī

    naav kāġhaz jo paanī meñ bahā hotī

    hum ne raste mein koi shama jala di hoti

    dur se hi jo kabhi tum ne sada di hoti

    mere sab git tumhaare hi liye hain shayad

    tum ne in giton mein aawaz mila di hoti

    tum ne to kuchh bhi na kahne ki qasam khai thi

    baat jo dil mein thi hum ne hi bata di hoti

    bhig jaani thin is tarah tumhaari palken

    wo kahani jo tumhein hum ne suna di hoti

    shayad insan ka jina hi bahut mushkil tha

    raaz ki baat jo qudrat ne bata di hoti

    'naz' bachpan mein kinare se wo lag hi jati

    naw kaghaz ki jo pani mein baha di hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now