Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah

Faiz ul Hasan Khayal

humne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah

Faiz ul Hasan Khayal

MORE BYFaiz ul Hasan Khayal

    ham ne sahrā ko sajāyā thā gulistāñ tarah

    tum ne gulshan ko banāyā hai bayābāñ tarah

    raat zahr piye ḳhvāb āñchal oḌhe

    kaun hai saath mire gardish-e-daurāñ tarah

    DhūñDhtā phirtā huuñ ab tak bhī haiñ sahrā sahrā

    usī lamhe ko jo thā fasl-e-bahārāñ tarah

    maslahat-kosh zamāne bharosa kyā hai

    jo bhī miltā hai yahāñ gardish-e-daurāñ tarah

    aaj vo lamhe mujhe Daste haiñ tanhā kar

    kabhī mahbūb the jo mujh ko dil-o-jāñ tarah

    jaane kyā baat hai kyuuñ jashn-e-masarrat meñ nadīm

    yaad aatī hai tirī shām-e-ġharībāñ tarah

    kab talak shahr galiyoñ meñ phiroge yaaro

    āsmānoñ pe uḌo taḳht-e-sulaimāñ tarah

    ye to parvānoñ ke dil haiñ jo pighal jaate haiñ

    kaun jaltā hai yahāñ sham-e-shabistāñ tarah

    kaun ḳhvāboñ ke jazīre se chalā aayā 'ḳhayāl'

    dil meñ ik raushnī hai sub.h-e-daraḳhshāñ tarah

    hum ne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah

    tum ne gulshan ko banaya hai bayaban ki tarah

    raat ka zahr piye KHwab ka aanchal oDhe

    kaun hai sath mere gardish-e-dauran ki tarah

    DhunDhta phirta hun ab tak bhi hain sahra sahra

    usi lamhe ko jo tha fasl-e-bahaaran ki tarah

    maslahat-kosh zamane ka bharosa kya hai

    jo bhi milta hai yahan gardish-e-dauran ki tarah

    aaj wo lamhe mujhe Daste hain tanha pa kar

    kabhi mahbub the jo mujh ko dil-o-jaan ki tarah

    jaane kya baat hai kyun jashn-e-masarrat mein nadim

    yaad aati hai teri sham-e-ghariban ki tarah

    kab talak shahr ki galiyon mein phiroge yaro

    aasmanon pe uDo taKHt-e-sulaiman ki tarah

    ye to parwanon ke dil hain jo pighal jate hain

    kaun jalta hai yahan sham-e-shabistan ki tarah

    kaun KHwabon ke jazire se chala aaya 'KHayal'

    dil mein ek raushni hai subh-e-daraKHshan ki tarah

    Source:

    Subh Ka Suraj (Pg. 103)

    • Author: Faiz ul Hasan Khayal
      • Edition: 1972
      • Publisher: Faiz ul Hasan Khayal
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now