humne suna hai saz-e-saba aur kuchh suna
ham ne sunā hai sāz-e-sabā aur kuchh sunā
nauha hai ye bahār hī kā aur kuchh sunā
ham ne sunā hai duur bayābāñ se lauT kar
peḌoñ pe hāñptī hai havā aur kuchh sunā
ham ne sunā hai tere faqīroñ meñ ik faqīr
letā hai saañs sho'la-numā aur kuchh sunā
ham ne sunā hai ham jo garebān phāḌte
taḌ taḌ taḌaḳh barastī ghaTā aur kuchh sunā
ham ne sunā hai raat ko kuttoñ ke ḳhauf se
tū ghūmtā hai le ke 'asā aur kuchh sunā
ham ne sunā hai ab bhī tire hoñT dekh kar
gul kholtā hai band-e-qabā aur kuchh sunā
ham ne sunā hai bajte haiñ paañv ke nīche Dhol
aur nāchtī hai sar pe qazā aur kuchh sunā
ham ne sunā hai chāñd kī jhāñjan jhanak uThī
aur ek barg chauñk paḌā aur kuchh sunā
hum ne suna hai saz-e-saba aur kuchh suna
nauha hai ye bahaar hi ka aur kuchh suna
hum ne suna hai dur bayaban se lauT kar
peDon pe hanpti hai hawa aur kuchh suna
hum ne suna hai tere faqiron mein ek faqir
leta hai sans sho'la-numa aur kuchh suna
hum ne suna hai hum jo gareban phaDte
taD taD taDaKH barasti ghaTa aur kuchh suna
hum ne suna hai raat ko kutton ke KHauf se
tu ghumta hai le ke 'asa aur kuchh suna
hum ne suna hai ab bhi tere honT dekh kar
gul kholta hai band-e-qaba aur kuchh suna
hum ne suna hai bajte hain panw ke niche Dhol
aur nachti hai sar pe qaza aur kuchh suna
hum ne suna hai chand ki jhanjan jhanak uThi
aur ek barg chaunk paDa aur kuchh suna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.