Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne to us se bhi nibha li hai

Chand Kakralvi

humne to us se bhi nibha li hai

Chand Kakralvi

MORE BYChand Kakralvi

    ham ne to us se bhī nibhā hai

    dil mohabbat se jis ḳhālī hai

    ab to aa ai dhuup khiḌkī par

    barf āñkhoñ meñ jamne vaalī hai

    chhāñv bhī ab sukūñ nahīñ detī

    jism ne itnī dhuup khā hai

    kuchh banāne phir zarūrat kyā

    us tasvīr jab banā hai

    ḳhatm jhagḌā nahīñ huā ghar

    jab ki dīvār bhī uThā hai

    jis pe chāhat ke phuul khilte the

    tum ne vo shāḳh kaaT Daalī hai

    hum ne to us se bhi nibha li hai

    dil mohabbat se jis ka KHali hai

    ab to aa ja ai dhup khiDki par

    barf aankhon mein jamne wali hai

    chhanw bhi ab sukun nahin deti

    jism ne itni dhup kha li hai

    kuchh banane ki phir zarurat kya

    us ki taswir jab bana li hai

    KHatm jhagDa nahin hua ghar ka

    jab ki diwar bhi uTha li hai

    jis pe chahat ke phul khilte the

    tum ne wo shaKH kaT Dali hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now