Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum pariyon ke chahne wale KHwab mein dekhen pariyan

Hasan Abbas Raza

hum pariyon ke chahne wale KHwab mein dekhen pariyan

Hasan Abbas Raza

MORE BYHasan Abbas Raza

    ham pariyoñ ke chāhne vaale ḳhvāb meñ dekheñ pariyāñ

    duur se ruup sadqa bāñTeñ haath na aa.eñ pariyāñ

    raah meñ haa.il qaaf pahāḌ aur haath charāġh se ḳhālī

    kyūñkar jinnoñ ke changul se ham chhuḌvā.eñ pariyāñ

    āshāoñ sohnī sajrī sej sajā.e rakkhūñ

    jaane kaun ghaḌī mere ghar meñ aan barājeñ pariyāñ

    saare shahr ko chāñdnī ḳhairāt us roz maiñ bāñTūñ

    jis din ḳhvāhish ke āñgan meñ chham se utreñ pariyāñ

    kachche gharoñ se ās-havelī jaane ḳhvāhish meñ

    pahroñ ā.īne ke sāmne baiTh ke sañvareñ pariyāñ

    pariyoñ tausīf meñ aise sher 'razā' maiñ likkhūñ

    jin ko sun kar uḌtī aa.eñ jhūmeñ nācheñ pariyāñ

    hum pariyon ke chahne wale KHwab mein dekhen pariyan

    dur se rup ka sadqa banTen hath na aaen pariyan

    rah mein hail qaf pahaD aur hath charagh se KHali

    kyunkar jinnon ke changul se hum chhuDwaen pariyan

    aashaon ki sohni sajri sej sajae rakkhun

    jaane kaun ghaDi mere ghar mein aan barajen pariyan

    sare shahr ko chandni ki KHairaat us roz main banTun

    jis din KHwahish ke aangan mein chham se utren pariyan

    kachche gharon se aas-haweli jaane ki KHwahish mein

    pahron aaine ke samne baiTh ke sanwaren pariyan

    pariyon ki tausif mein aise sher 'raza' main likkhun

    jin ko sun kar uDti aaen jhumen nachen pariyan

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now