Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum phaDak kar toDte sari qafas ki tiliyan

Shah Naseer

hum phaDak kar toDte sari qafas ki tiliyan

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    ham phaḌak kar toḌte saarī qafas tīliyāñ

    par nahīñ ai ham safīro! apne bas tīliyāñ

    bahr-e-aivāñ aur banvā chilman ai parda-nashīñ

    ho ga.ī bad-rañg haiñ agle baras tīliyāñ

    ḳhaak meñ jins rahte haiñ na ahl-e-imtiyāz

    ai falak bantī nahīñ jārūb ḳhas tīliyāñ

    ain fasl-e-gul meñ sayyād-e-be-parvā ne aah

    das ke par katre to kiiñ āñkhoñ meñ das tīliyāñ

    hirs-e-duniyā chāhtī hai ye ki sīm-o-zar hoñ

    ye charāġh-e-ḳhāna-e-ahl-e-havas tīliyāñ

    imtiyāz-e-nek-o-bad ḳhud ho na jis ko ai 'nasīr'

    us ke nazdīk ek haiñ ḳhāshāk-o-ḳhas tīliyāñ

    hum phaDak kar toDte sari qafas ki tiliyan

    par nahin ai hum safiro! apne bas ki tiliyan

    bahr-e-aiwan aur banwa chilman ai parda-nashin

    ho gai bad-rang hain agle baras ki tiliyan

    KHak mein na jins rahte hain na ahl-e-imtiyaz

    ai falak banti nahin jarub KHas ki tiliyan

    ain fasl-e-gul mein hi sayyaad-e-be-parwa ne aah

    das ke par katre to kin aankhon mein das ki tiliyan

    hirs-e-duniya chahti hai ye ki sim-o-zar ki hon

    ye charagh-e-KHana-e-ahl-e-hawas ki tiliyan

    imtiyaz-e-nek-o-bad KHud ho na jis ko ai 'nasir'

    us ke nazdik ek hain KHashak-o-KHas ki tiliyan

    Source:

    Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 96)

    • Author: Khvaja Mohammad Zakriya
      • Edition: 2009
      • Publisher: Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now