Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum pyason ki yahi kahani jashn manane lagte hain

Raziq Ansari

hum pyason ki yahi kahani jashn manane lagte hain

Raziq Ansari

MORE BYRaziq Ansari

    ham pyāsoñ yahī kahānī jashn manāne lagte haiñ

    duur kahīñ jab dekheñ paanī jashn manāne lagte haiñ

    ham aise the ghar aisā thā gaañv hamārā aisā thā

    dekh ke ab tasvīr purānī jashn manāne lagte haiñ

    itne mushkil rastoñ par is baar safar hai logoñ

    dekh ke thoḌī āsānī jashn manāne lagte haiñ

    dil hālat par ham pahle mātam karne lagte the

    dekh ke ab to choT purānī jashn manāne lagte haiñ

    mere apne kuchh logoñ ko pyaar hai mere ashkoñ se

    dekh ke merī aañkh meñ paanī jashn manāne lagte haiñ

    hum pyason ki yahi kahani jashn manane lagte hain

    dur kahin jab dekhen pani jashn manane lagte hain

    hum aise the ghar aisa tha ganw hamara aisa tha

    dekh ke ab taswir purani jashn manane lagte hain

    itne mushkil raston par is bar safar hai logon ka

    dekh ke thoDi si aasani jashn manane lagte hain

    dil ki haalat par hum pahle matam karne lagte the

    dekh ke ab to choT purani jashn manane lagte hain

    mere apne kuchh logon ko pyar hai mere ashkon se

    dekh ke meri aankh mein pani jashn manane lagte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now