Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum rahen ya na rahen par kuchh gila rah jaega

Vijay pratap singh

hum rahen ya na rahen par kuchh gila rah jaega

Vijay pratap singh

MORE BYVijay pratap singh

    ham raheñ na raheñ par kuchh gila rah jā.egā

    ek āshiq dekhtā mubtalā rah jā.egā

    maiñ khaḌā rah jā.ūñgā bas āstāñ par sochtā

    phuul bhī gul-dān meñ bas khilā rah jā.egā

    dar-ba-dar ho kar yahāñ se jab chalā jā.ūñgā maiñ

    tab mujhe phir khojtā ye jahāñ rah jā.egā

    bas nadī ke paas tak log le kar ā.eñge

    is nadī ke ghaaT par qāfila rah jā.egā

    zikr bhī hogā nahīñ tere fasāne meñ tirā

    is fasāne se nikal kar nihāñ rah jā.egā

    hum rahen ya na rahen par kuchh gila rah jaega

    ek aashiq dekhta sa mubtala rah jaega

    main khaDa rah jaunga bas aastan par sochta

    phul bhi gul-dan mein hi bas khila rah jaega

    dar-ba-dar ho kar yahan se jab chala jaunga main

    tab mujhe phir khojta sa ye jahan rah jaega

    bas nadi ke pas tak hi log le kar aaenge

    is nadi ke ghaT par hi qafila rah jaega

    zikr bhi hoga nahin tere fasane mein tera

    is fasane se nikal kar tu nihan rah jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now