Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humse mumkin na hua dasht ko dariya likkhen

Sulaiman Athar Javed

humse mumkin na hua dasht ko dariya likkhen

Sulaiman Athar Javed

MORE BYSulaiman Athar Javed

    ham se mumkin na huā dasht ko dariyā likkheñ

    ḳhaar ko phuul kaheñ dhuup ko saaya likkheñ

    un isrār añdhere ko ujālā likkho

    zid hamārī ki añdherā hai añdherā likkheñ

    aao is peḌ ke saa.e meñ zarā sustā leñ

    aur phir chāhe ġhazal chāhe qasīda likkheñ

    kuchh patā un ko chale ham pe guzartī kyā hai

    apne ik aadh sahī ġham ḳhulāsa likkheñ

    us ke har harf se ḳhushbū tumhārī mahke

    rubā.ī koī sher ġhazal likkheñ

    kyā kareñ phuul se kāġhaz pe bikhar jaate haiñ

    jab bhī chāhā hai kabhī un sarāpā likkheñ

    chāñdnī raat meñ baiTheñ lab-e-dariyā pe kahīñ

    aur har mauj pe bas naam tumhārā likkheñ

    us hastī ki hai ābād mahaktā jahāñ

    aur ham ḳhud ko samundar meñ jazīra likkheñ

    ham ko is ahd-e-kashākash ko raqam karnā hai

    kis ko fursat ki bhalā aap qissa likkheñ

    kyā diyā tum ne zamāne ko bas ik shab ke sivā

    ham ne sochā hai ki us shab saverā likkheñ

    tum ne ik moḌ pe ke jise chhoḌā thā kabhī

    aao ab baiTh ke qissa vo adhūrā likkheñ

    dil se majbūr haiñ 'jāved' magar haif kahāñ

    kyā ye mumkin hai kabhī aap ko apnā likkheñ

    hum se mumkin na hua dasht ko dariya likkhen

    KHar ko phul kahen dhup ko saya likkhen

    un ka israr andhere ko ujala likkho

    zid hamari ki andhera hai andhera likkhen

    aao is peD ke sae mein zara susta len

    aur phir chahe ghazal chahe qasida likkhen

    kuchh pata un ko chale hum pe guzarti kya hai

    apne ek aadh sahi gham ka KHulasa likkhen

    us ke har harf se KHushbu si tumhaari mahke

    ya rubai ya koi sher ghazal ka likkhen

    kya karen phul se kaghaz pe bikhar jate hain

    jab bhi chaha hai kabhi un ka sarapa likkhen

    chandni raat mein baiThen lab-e-dariya pe kahin

    aur har mauj pe bas nam tumhaara likkhen

    us ki hasti ki hai aabaad mahakta sa jahan

    aur hum KHud ko samundar mein jazira likkhen

    hum ko is ahd-e-kashakash ko raqam karna hai

    kis ko fursat ki bhala aap ka qissa likkhen

    kya diya tum ne zamane ko bas ek shab ke siwa

    hum ne socha hai ki us shab ka sawera likkhen

    tum ne ek moD pe la ke jise chhoDa tha kabhi

    aao ab baiTh ke qissa wo adhura likkhen

    dil se majbur hain 'jawed' magar haif kahan

    kya ye mumkin hai kabhi aap ko apna likkhen

    Source:

    Aangan Aangan Dukh Ke Ped (Pg. 83)

    • Author: Sulaiman Athar Javed
      • Publisher: Meraj Publication, Hyderabad
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now