Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humse wo be-ruKHi se milta hai

Syed Hamid

humse wo be-ruKHi se milta hai

Syed Hamid

MORE BYSyed Hamid

    ham se vo be-ruḳhī se miltā hai

    ko paiġhām se miltā hai

    ham ko bāvar na thā adāvat

    silsila āshiqī se miltā hai

    rishta-e-irtiqā-e-insānī

    zehn tishnagī se miltā hai

    dast-e-taḳh.īl ko koī dāman

    baḳht yāvarī se miltā hai

    dostī aur dushmanī mazā

    dost dushmanī se miltā hai

    zauq baḌhtā hai āshnā.ī

    jab vo begānagī se miltā hai

    ruḳh ko taz.īn nayā pahlū

    aap be-ruḳhī se miltā hai

    hai vo miltā kis liye 'hāmid'

    ham se jo be-dilī se miltā hai

    hum se wo be-ruKHi se milta hai

    ji ko paigham ji se milta hai

    hum ko bawar na tha adawat ka

    silsila aashiqi se milta hai

    rishta-e-irtiqa-e-insani

    zehn ki tishnagi se milta hai

    dast-e-taKHil ko koi daman

    baKHt ki yawari se milta hai

    dosti aur dushmani ka maza

    dost ki dushmani se milta hai

    zauq baDhta hai aashnai ka

    jab wo beganagi se milta hai

    ruKH ko tazin ka naya pahlu

    aap ki be-ruKHi se milta hai

    hai wo milta hi kis liye 'hamid'

    hum se jo be-dili se milta hai

    Source:

    Lamhaat (Pg. 148)

    • Author: Syed Hamid
      • Edition: 1987
      • Publisher: Taj Compnay, Delhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now