Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-suKHan ham-zaban mile na mile

Parwaz Noorpuri

ham-suKHan ham-zaban mile na mile

Parwaz Noorpuri

MORE BYParwaz Noorpuri

    ham-suḳhan ham-zabāñ mile na mile

    aap mehrbāñ mile na mile

    raaz dil to khul jā.egā

    ashk-e-ġham ko zabāñ mile na mile

    ek lamha bahut hai qurbat

    mujh ko umr-e-ravāñ mile na mile

    pyaar ik nazar kaafī hai

    daulat-e-do-jahāñ mile na mile

    chal to niklā huuñ justujū meñ tirī

    zarre ko āsmāñ mile na mile

    shā.erī 'josh' tak thī ai 'parvāz'

    ab koī nukta-dāñ mile na mile

    ham-suKHan ham-zaban mile na mile

    aap sa mehrban mile na mile

    raaz dil ka to khul hi jaega

    ashk-e-gham ko zaban mile na mile

    ek lamha bahut hai qurbat ka

    mujh ko umr-e-rawan mile na mile

    pyar ki ek nazar hi kafi hai

    daulat-e-do-jahan mile na mile

    chal to nikla hun justuju mein teri

    zarre ko aasman mile na mile

    shaeri 'josh' tak thi ai 'parwaz'

    ab koi nukta-dan mile na mile

    Source:

    Dhauladhar Ek Dulhan (Pg. 64)

    • Author: Parwaz Noorpuri
      • Publisher: Modern Publishing House, Daryaganj, New Delhi
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now