Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum taza-bahaaron ka paigham tumhein denge

Dr. Mohammad Jamal

hum taza-bahaaron ka paigham tumhein denge

Dr. Mohammad Jamal

MORE BYDr. Mohammad Jamal

    ham tāza-bahāroñ paiġhām tumheñ deñge

    kuchh ḳhvāb bhī chun chun kar har shaam tumheñ deñge

    jo ghūmte phirte haiñ ḳhush-rang libāsoñ meñ

    ḳhud jurm kareñge aur ilzām tumheñ deñge

    ik azm-e-safar hai shart aur kufr hai māyūsī

    peḌoñ ke ghane saa.e ārām tumheñ deñge

    dhartī pe ubharne tum azm karo pahle

    ham chāñd sitāroñ in.aam tumheñ deñge

    uljhan meñ paḌe kyoñ ho tum apnī kahānī

    āġhāz sunāo to anjām tumheñ deñge

    ik dhuup mire muñh par kyā pheñkī hai zālim ne

    va.ada thā ki nazzāre har gaam tumheñ deñge

    haañ jazba-e-īmāñ tasdīq to ho pahle

    va.ada hai ki kausar ik jaam tumheñ deñge

    aaya hai parakhne phir vaqt 'jamāl' ik baar

    auroñ se na hotā ho vo kaam tumheñ deñge

    hum taza-bahaaron ka paigham tumhein denge

    kuchh KHwab bhi chun chun kar har sham tumhein denge

    jo ghumte phirte hain KHush-rang libason mein

    KHud jurm karenge aur ilzam tumhein denge

    ek azm-e-safar hai shart aur kufr hai mayusi

    peDon ke ghane sae aaram tumhein denge

    dharti pe ubharne ka tum azm karo pahle

    hum chand sitaron ka inam tumhein denge

    uljhan mein paDe kyon ho tum apni kahani ka

    aaghaz sunao to anjam tumhein denge

    ek dhup mere munh par kya phenki hai zalim ne

    wada tha ki nazzare har gam tumhein denge

    han jazba-e-iman ki tasdiq to ho pahle

    wada hai ki kausar ka ek jam tumhein denge

    aaya hai parakhne ka phir waqt 'jamal' ek bar

    auron se na hota ho wo kaam tumhein denge

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now