hum tere hijr mein yun zard hue jate hain
ham tire hijr meñ yuuñ zard hue jaate haiñ
log takte haiñ to hamdard hue jaate haiñ
ye paḌosī ke jo ashjār haiñ dīvāroñ par
ye bhī ab ghar ke mire fard hue jaate haiñ
in ke lahje meñ vo ḳhunkī hai na pūchhe koī
sunñe vāloñ ke badan sard hue jaate haiñ
ham tire sar kā kabhī taaj huā karte the
ab tire paañv kī ham gard hue jaate haiñ
ab to 'ashfāq' hameñ ḳhalq se ḳhauf aatā hai
log is tarh se be-dard hue jaate haiñ
hum tere hijr mein yun zard hue jate hain
log takte hain to hamdard hue jate hain
ye paDosi ke jo ashjar hain diwaron par
ye bhi ab ghar ke mere fard hue jate hain
in ke lahje mein wo KHunki hai na puchhe koi
sunne walon ke badan sard hue jate hain
hum tere sar ka kabhi taj hua karte the
ab tere panw ki hum gard hue jate hain
ab to 'ashfaq' hamein KHalq se KHauf aata hai
log is tarh se be-dard hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.