Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum tere shahr mein aae tere mehman bhi rahe

Jagdeesh Masoom

hum tere shahr mein aae tere mehman bhi rahe

Jagdeesh Masoom

MORE BYJagdeesh Masoom

    ham tire shahr meñ aa.e tire mehmāñ bhī rahe

    tujh ko chāhā bhī magar tujh se gurezāñ bhī rahe

    ab kahīñ duur haiñ ham tere ḳhayāloñ se magar

    ham tire shauq rūdād ke 'unvāñ bhī rahe

    phir tire pyaar vo sā’at-e-rangīñ na milī

    gardish-e-vaqt se ham dast-o-garebāñ bhī rahe

    rāt-bhar koī ḳhalish dil ko satātī rahī

    band āñkhoñ meñ ka.ī ḳhvāb pareshāñ bhī rahe

    bārhā dil ko huā tark-e-ta'alluq junūñ

    aur phir tujh se mulāqāt ke armāñ bhī rahe

    na ga.ī dil ye āshufta-mizājī na ga.ī

    ham sulaimāñ bhī hue be-sar-o-sāmāñ bhī rahe

    luT ga.iiñ jin ke sabab dil bahāreñ 'mā’sūm'

    gulshan-e-dil ke vahī log nigahbāñ bhī rahe

    hum tere shahr mein aae tere mehman bhi rahe

    tujh ko chaha bhi magar tujh se gurezan bhi rahe

    ab kahin dur hain hum tere KHayalon se magar

    hum tere shauq ki rudad ke 'unwan bhi rahe

    phir tere pyar ki wo sa’at-e-rangin na mili

    gardish-e-waqt se hum dast-o-gareban bhi rahe

    raat-bhar koi KHalish dil ko satati hi rahi

    band aankhon mein kai KHwab pareshan bhi rahe

    barha dil ko hua tark-e-ta'alluq ka junun

    aur phir tujh se mulaqat ke arman bhi rahe

    na gai dil ki ye aashufta-mizaji na gai

    hum sulaiman bhi hue be-sar-o-saman bhi rahe

    luT gain jin ke sabab dil ki bahaaren 'ma’sum'

    gulshan-e-dil ke wahi log nigahban bhi rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now