Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum to karbal ko hi bas dar-e-baqa kahte hain

Asad Raza Sahar

hum to karbal ko hi bas dar-e-baqa kahte hain

Asad Raza Sahar

MORE BYAsad Raza Sahar

    ham to karbal ko bas dār-e-baqā kahte haiñ

    us miTTī ko suno ḳhāk-e-shifā kahte haiñ

    ye to bas mujh se ho jaatī hai ġhaflat aksar

    jo bhī kahte haiñ baḌe mere bajā kahte haiñ

    pheñkī lakḌī to kabhī rasta kabhī saañp banā

    us ko lakḌī nahīñ muusā asā kahte haiñ

    maiñ sazā lafz tārīf batātā huuñ suno

    muntazir hone ko bhī jaan sazā kahte haiñ

    bhuuk marte hue bachchoñ ko jo khānā de

    us masīhā ko farzand-e-ḳhudā kahte haiñ

    kitne saada haiñ makīñ yaar tirī bastī ke

    zahr ke jaam ko bhī āb-e-baqā kahte haiñ

    shams tabrez se apnī hai aqīdat itnī

    ham qalandar ko tabhī shams-numā kahte haiñ

    jo tirī yaad meñ har raat bapā hotī hai

    aisī mahfil ko 'sahar' bazm-e-azā kahte haiñ

    hum to karbal ko hi bas dar-e-baqa kahte hain

    us ki miTTi ko suno KHak-e-shifa kahte hain

    ye to bas mujh se hi ho jati hai ghaflat aksar

    jo bhi kahte hain baDe mere baja kahte hain

    phenki lakDi to kabhi rasta kabhi sanp bana

    us ko lakDi nahin musa ka asa kahte hain

    main saza lafz ki tarif batata hun suno

    muntazir hone ko bhi jaan saza kahte hain

    bhuk marte hue bachchon ko jo khana la de

    us masiha ko hi farzand-e-KHuda kahte hain

    kitne sada hain makin yar teri basti ke

    zahr ke jam ko bhi aab-e-baqa kahte hain

    shams tabrez se apni hai aqidat itni

    hum qalandar ko tabhi shams-numa kahte hain

    jo teri yaad mein har raat bapa hoti hai

    aisi mahfil ko 'sahar' bazm-e-aza kahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now