hum to karte hue raqs-e-bismil gae
ham to karte hue raqs-e-bismil ga.e
jab kabhī shauq meñ sū-e-manzil ga.e
jaane kyā ho gayā hai tabī'at ko ab
gaahe murjhā ga.e gaahe ham khil ga.e
paḌh ke phūñkā tirā naam siine pe jab
zaḳhm-e-dil aap hī aap ḳhud sil ga.e
le ke aa.e the dīdār kī sarḳhushī
jab ga.e terī mahfil se ghā.il ga.e
ye bhī qismat kī ham pe navāzish hai kam
un ko ham aur vo 'mariyam' hameñ mil ga.e
hum to karte hue raqs-e-bismil gae
jab kabhi shauq mein su-e-manzil gae
jaane kya ho gaya hai tabi'at ko ab
gahe murjha gae gahe hum khil gae
paDh ke phunka tera nam sine pe jab
zaKHm-e-dil aap hi aap KHud sil gae
le ke aae the didar ki sarKHushi
jab gae teri mahfil se ghail gae
ye bhi qismat ki hum pe nawazish hai kam
un ko hum aur wo 'mariyam' hamein mil gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.