Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe

Ahmad Nadeem Qasmi

hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    ham un ke naqsh-e-qadam ko jaada karte rahe

    jo gumrahī ke safar i.aada karte rahe

    ka.ī savāb to nisyāñ meñ ho ga.e ham se

    gunāh kitne ham be-irāda karte rahe

    na sirf ahl-e-ḳhirad ham pe ehsāñ hai

    ki ahmaqoñ se bhī ham istifāda karte rahe

    kuchh is salīqe se guzrī hai zindagī apnī

    har ek tiir pe ham dil kushāda karte rahe

    mire giroh rishta hai us qabīle se

    jo zindagī safar pā-piyāda karte rahe

    huā hai aisā ki fāriġh irādatan bhī kabhī

    ham apnī raah meñ kāñTe ziyāda karte rahe

    hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe

    jo gumrahi ke safar ka iada karte rahe

    kai sawab to nisyan mein ho gae hum se

    gunah kitne hi hum be-irada karte rahe

    na sirf ahl-e-KHirad hi ka hum pe ehsan hai

    ki ahmaqon se bhi hum istifada karte rahe

    kuchh is saliqe se guzri hai zindagi apni

    har ek tir pe hum dil kushada karte rahe

    mere giroh ka rishta hai us qabile se

    jo zindagi ka safar pa-piyaada karte rahe

    hua hai aisa ki farigh iradatan bhi kabhi

    hum apni rah mein kanTe ziyaada karte rahe

    Source:

    Khayaabaan (Pg. 110)

    • Author: Hassan Abbas Raza
      • Publisher: Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now