hum use kash ru-baru karte
ham use kaash rū-barū karte
aur āñkhoñ se guftugū karte
dosto mere saath ye nekī
tum na karte to kyā 'adū karte
ham se pūchhe koī pata us kā
'umr guzrī hai justujū karte
ai shu'ūr āsmān hil jaatā
ham jo bā-iḳhtiyār hū karte
hum use kash ru-baru karte
aur aankhon se guftugu karte
dosto mere sath ye neki
tum na karte to kya 'adu karte
hum se puchhe koi pata us ka
'umr guzri hai justuju karte
ai shu'ur aasman hil jata
hum jo ba-iKHtiyar hu karte
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 77)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.