Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ye chahen hamein inkar ki jurat ho jae

Vazahat Nseem

hum ye chahen hamein inkar ki jurat ho jae

Vazahat Nseem

MORE BYVazahat Nseem

    ham ye chāheñ hameñ inkār jur.at ho jaa.e

    lab tak aa.e to vahī harf-e-nadāmat ho jaa.e

    merī socheñ mirā ehsās mirī āvāz

    mere sheroñ se magar aap shohrat ho jaa.e

    ḳhaak ho kar vo havāoñ meñ bikharnā chāhe

    jab kisī ko dar-o-dīvār se vahshat ho jaa.e

    aisī duniyā meñ baḌī baat hai zinda rahnā

    yuuñ to vīrāne meñ rahnā bhī ibādat ho jaa.e

    zindagī husn hai aur husn kashish rakhtā hai

    varna har shaḳhs ko jaañ dene fursat ho jaa.e

    iḳhtilāfāt bhī hoñ sulh bhī ho jaa.e agar

    ranjishoñ meñ hameñ ehsās-e-muravvat ho jaa.e

    hum ye chahen hamein inkar ki jurat ho jae

    lab tak aae to wahi harf-e-nadamat ho jae

    meri sochen mera ehsas meri hi aawaz

    mere sheron se magar aap ki shohrat ho jae

    KHak ho kar wo hawaon mein bikharna chahe

    jab kisi ko dar-o-diwar se wahshat ho jae

    aisi duniya mein baDi baat hai zinda rahna

    yun to virane mein rahna bhi ibaadat ho jae

    zindagi husn hai aur husn kashish rakhta hai

    warna har shaKHs ko jaan dene ki fursat ho jae

    iKHtilafat bhi hon sulh bhi ho jae agar

    ranjishon mein hamein ehsas-e-murawwat ho jae

    Source:

    Khwab Dareeche (Pg. 96)

    • Author: Vazahat Nseem
      • Publisher: Afsar Publication, Karachi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now