Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare azm ke bais tumhaara ishq kaamil hai

Nighat Naseem

hamare azm ke bais tumhaara ishq kaamil hai

Nighat Naseem

MORE BYNighat Naseem

    hamāre azm ke baa.is tumhārā ishq kāmil hai

    vagarna dil to siine meñ faqat patthar ik sil hai

    ajab baat kah hai tumheñ shāyad girāñ guzre

    tirī dhaḌkan se sargoshī mirī sāñsoñ manzil hai

    sabab gulshan meñ na jaane maiñ ab munkashif kar duuñ

    mire sheroñ meñ terī guftugū ḳhushbū shāmil hai

    maiñ apnī band āñkhoñ se bhī tum ko dekh saktī huuñ

    mujhe bhūlā nahīñ ab tak tire siine pe jo til hai

    zarā kholo to bañd muTThī havā thoḌī aane do

    tirī muTThī meñ 'nig.hat' jo ye Thahrā huā dil hai

    hamare azm ke bais tumhaara ishq kaamil hai

    wagarna dil to sine mein faqat patthar ki ek sil hai

    ajab si baat kah di hai tumhein shayad giran guzre

    teri dhaDkan se sargoshi meri sanson ki manzil hai

    sabab gulshan mein na jaane ka main ab munkashif kar dun

    mere sheron mein teri guftugu ki KHushbu shamil hai

    main apni band aankhon se bhi tum ko dekh sakti hun

    mujhe bhula nahin ab tak tere sine pe jo til hai

    zara kholo to band muTThi hawa thoDi si aane do

    teri muTThi mein 'nighat' ka jo ye Thahra hua dil hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now