Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare bachne ki logo sabil koi nahin

Nasira Zuberi

hamare bachne ki logo sabil koi nahin

Nasira Zuberi

MORE BYNasira Zuberi

    hamāre bachne logo sabīl koī nahīñ

    tamām shahr hai munsif vakīl koī nahīñ

    nahīñ hai yaad masāfat kuchh hisāb mujhe

    rah-e-talab meñ mirī sañg-e-mīl koī nahīñ

    use yaqīn ki vo kā.enāt meñ tanhā

    mujhe ye zo.am ki merī masīl koī nahīñ

    nahīñ hai koī zamānat mire tahaffuz

    huuñ aisā qil.a ki jis fasīl koī nahīñ

    ye aur kaun hathelī pe jaañ liye niklā

    ḳhabar to ye thī mirā ham-qabīl koī nahīñ

    banī ho shakl har ik jaise mun.akis ho kar

    mile haiñ aks nazar ko asiil koī nahīñ

    ḳhizāñ meñ kaise ho sairāb fasl-e-dil merī

    zamīn-e-misr huuñ aur merā niil koī nahīñ

    be-āb-o-rañg manāzir is masāfat meñ

    nazar pyaas bujhāne ko jhiil koī nahīñ

    yahī junūñ mire jazbāt gavāhī hai

    ki mere paas ḳhirad dalīl koī nahīñ

    hamare bachne ki logo sabil koi nahin

    tamam shahr hai munsif wakil koi nahin

    nahin hai yaad masafat ka kuchh hisab mujhe

    rah-e-talab mein meri sang-e-mil koi nahin

    use yaqin ki wo kaenat mein tanha

    mujhe ye zoam ki meri masil koi nahin

    nahin hai koi zamanat mere tahaffuz ki

    hun aisa qila ki jis ki fasil koi nahin

    ye aur kaun hatheli pe jaan liye nikla

    KHabar to ye thi mera ham-qabil koi nahin

    bani ho shakl har ek jaise munakis ho kar

    mile hain aks nazar ko asil koi nahin

    KHizan mein kaise ho sairab fasl-e-dil meri

    zamin-e-misr hun aur mera nil koi nahin

    be-ab-o-rang manazir ki is masafat mein

    nazar ki pyas bujhane ko jhil koi nahin

    yahi junun mere jazbaat ki gawahi hai

    ki mere pas KHirad ki dalil koi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now