Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare darmiyan ahd-e-shab-e-mahtab zinda hai

Noshi Gilani

hamare darmiyan ahd-e-shab-e-mahtab zinda hai

Noshi Gilani

MORE BYNoshi Gilani

    hamāre darmiyāñ ahd-e-shab-e-mahtāb zinda hai

    havā chupke se kahtī hai abhī ik ḳhvāb zinda hai

    ye kis narm ḳhushbū hai mirī shab havelī meñ

    ye kaisā raqs-e-mastī ai dil-e-betāb zinda hai

    kahāñ vo sāñvlī shāmeñ kahāñ vo reshmī bāteñ

    magar ik lams-e-hairāñ abhī zarnāb zinda hai

    abhī tak pāniyoñ meñ surma.ī saa.e utarte haiñ

    abhī tak dhaḌkanoñ meñ dard mizrāb zinda hai

    sirāt-e-ishq hai aur hijr tanhā masāfat hai

    vahī hai tishnagī phir bhī fareb-e-āb zinda hai

    hamare darmiyan ahd-e-shab-e-mahtab zinda hai

    hawa chupke se kahti hai abhi ek KHwab zinda hai

    ye kis ki narm KHushbu hai meri shab ki haweli mein

    ye kaisa raqs-e-masti ai dil-e-betab zinda hai

    kahan wo sanwli shamen kahan wo reshmi baaten

    magar ek lams-e-hairan ka abhi zarnab zinda hai

    abhi tak paniyon mein surmai sae utarte hain

    abhi tak dhaDkanon mein dard ki mizrab zinda hai

    siraat-e-ishq hai aur hijr ki tanha masafat hai

    wahi hai tishnagi phir bhi fareb-e-ab zinda hai

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Hamare darmiyan ehd-e-shab-e-mehtab zinda hai Azra Naqvi

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 24.12.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now