Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare dil ka wo aalam hai un ke nam ke baad

Bashir Farooqi

hamare dil ka wo aalam hai un ke nam ke baad

Bashir Farooqi

MORE BYBashir Farooqi

    hamāre dil vo 'ālam hai un ke naam ke baa'd

    ki jaise raat raanī khilī ho shaam ke baa'd

    vo shāḳh-e-gul tarah dast-e-ahmarīñ us

    vo muḌ ke dekhnā us mujhe salām ke baa'd

    har ek daur meñ ye sochte rahe ham log

    ki ab sukūn milegā na.e nizām ke baa'd

    maiñ saath chal to diyā huuñ magar ye ḳhauf bhī hai

    ki tum fareb na de jaao chand gaam ke baa'd

    bachāne nikle haiñ kis ko salāmatī daste

    bachā kaun hai bastī meñ qatl-e-'ām ke baa'd

    ye sar bachā ke guzargāh-e-hādsāt se ham

    ḳhudā shukr kareñ ghar to aa.e shaam ke baa'd

    fasād uljhe hue mas.aloñ hal to nahīñ

    ye sho'le aur bhaḌakte haiñ intiqām ke baa'd

    maiñ jaise TuuT gayā huuñ bikhar gayā huuñ 'bashīr'

    'ajīb haal hai merā shikast-e-jām ke baa'd

    hamare dil ka wo 'alam hai un ke nam ke ba'd

    ki jaise raat ki rani khili ho sham ke ba'd

    wo shaKH-e-gul ki tarah dast-e-ahmarin us ka

    wo muD ke dekhna us ka mujhe salam ke ba'd

    har ek daur mein ye sochte rahe hum log

    ki ab sukun milega nae nizam ke ba'd

    main sath chal to diya hun magar ye KHauf bhi hai

    ki tum fareb na de jao chand gam ke ba'd

    bachane nikle hain kis ko salamati daste

    bacha hi kaun hai basti mein qatl-e-'am ke ba'd

    ye sar bacha ke guzargah-e-hadsat se hum

    KHuda ka shukr karen ghar to aae sham ke ba'd

    fasad uljhe hue masalon ka hal to nahin

    ye sho'le aur bhaDakte hain intiqam ke ba'd

    main jaise TuT gaya hun bikhar gaya hun 'bashir'

    'ajib haal hai mera shikast-e-jam ke ba'd

    Source:

    Paron Ke Darmiyan (Pg. 60)

    • Author: Bashir Farooqi
      • Publisher: Bashir Farooqi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now