Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare dil mein koi aarzu nahin baqi

Riyaz Khairabadi

hamare dil mein koi aarzu nahin baqi

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    hamāre dil meñ koī aarzū nahīñ baaqī

    hamāre phuul meñ ab rañg-o-bū nahīñ baaqī

    bahut kahī dil-e-nādāñ adū nahīñ baaqī

    mirā adū mire pahlū meñ nahīñ baaqī

    tumhāre tiir ab aarzū nahīñ baaqī

    huā hai piip kaleja lahū nahīñ baaqī

    ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharāb

    koī bhī zarf barā-e-vuzū nahīñ baaqī

    dharā hai kyā mire ghar meñ ki mohtasib legā

    pur-az-sharāb vo jām-o-subū nahīñ baaqī

    vo rah ke ġhair sohbat meñ ho ga.e kuchh aur

    vo baat pichhlī aglī ḳhū nahīñ baaqī

    thakā paḌā huuñ to vāmāñdgī ye kahtī hai

    unheñ kisī bhī ab justujū nahīñ baaqī

    jo mai buuñd na niklī to paḌ gayā paanī

    ba-hāl-e-ḳhvesh subū ab subū nahīñ baaqī

    hamārī aap baat uTh rahī hai mahshar par

    hamārī aap kuchh guftugū nahīñ baaqī

    jo nikle ḳhaar to dāman se sūiyāñ uljhīñ

    jagah zarā kahīñ be-rafū nahīñ baaqī

    baḌhī hai baat qayāmat meñ jhūTe va.ade par

    vo munfa.il hai to kuchh guftugū nahīñ baaqī

    ye mohtasib hai abas ghar ko sūñghtā phirtā

    ki būñd-bar bhī mai-e-mushk-bū nahīñ baaqī

    huā hai aa.ine ke saath aks ko saktā

    kisī meñ jaan tire rū-ba-rū nahīñ baaqī

    baheñ sharāb ke dariyā to ham ko lutf nahīñ

    ki sabza kuchh bhī lab-e-ābjū nahīñ baaqī

    baḌhī hai pāk-nihādī ye bāda-noshoñ

    ki ab namāz meñ qaid-e-vuzū nahīñ baaqī

    hamārī aañkh meñ tārīk bazm-e-ālam hai

    jo zeb-e-bazm the vo sham.a-rū nahīñ baaqī

    'riyāz' maut ko kyuuñ maut aa.ī jaatī hai

    hameñ to maut bhī aarzū nahīñ baaqī

    hamare dil mein koi aarzu nahin baqi

    hamare phul mein ab rang-o-bu nahin baqi

    bahut kahi dil-e-nadan adu nahin baqi

    mera adu mere pahlu mein tu nahin baqi

    tumhaare tir ki ab aarzu nahin baqi

    hua hai pip kaleja lahu nahin baqi

    ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab

    koi bhi zarf bara-e-wuzu nahin baqi

    dhara hai kya mere ghar mein ki mohtasib lega

    pur-az-sharab wo jam-o-subu nahin baqi

    wo rah ke ghair ki sohbat mein ho gae kuchh aur

    wo baat pichhli si agli si KHu nahin baqi

    thaka paDa hun to wamandgi ye kahti hai

    unhen kisi ki bhi ab justuju nahin baqi

    jo mai ki bund na nikli to paD gaya pani

    ba-haal-e-KHwesh subu ab subu nahin baqi

    hamari aap ki baat uTh rahi hai mahshar par

    hamari aap ki kuchh guftugu nahin baqi

    jo nikle KHar to daman se suiyan uljhin

    jagah zara si kahin be-rafu nahin baqi

    baDhi hai baat qayamat mein jhuTe wade par

    wo munfail hai to kuchh guftugu nahin baqi

    ye mohtasib hai abas ghar ko sunghta phirta

    ki bund-bar bhi mai-e-mushk-bu nahin baqi

    hua hai aaine ke sath aks ko sakta

    kisi mein jaan tere ru-ba-ru nahin baqi

    bahen sharab ke dariya to hum ko lutf nahin

    ki sabza kuchh bhi lab-e-abju nahin baqi

    baDhi hai pak-nihadi ye baada-noshon ki

    ki ab namaz mein qaid-e-wuzu nahin baqi

    hamari aankh mein tarik bazm-e-alam hai

    jo zeb-e-bazm the wo shama-ru nahin baqi

    'riyaz' maut ko kyun maut aai jati hai

    hamein to maut ki bhi aarzu nahin baqi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now