Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare dil mein machlegi kisi ki aarzu kab tak

Satyapal Janbaz

hamare dil mein machlegi kisi ki aarzu kab tak

Satyapal Janbaz

MORE BYSatyapal Janbaz

    hamāre dil meñ machlegī kisī aarzū kab tak

    junūn-e-ishq meñ bhaTkeñge ham yuuñ kū-ba-kū kab tak

    ye kyā manzil na aa.egī hamāre rū-ba-rū kab tak

    raheñge dasht-e-ġhurbat meñ asīr-e-justajū kab tak

    ġham-e-hastī bhī kuchh to mudāvā DhūñDhnā hogā

    ġham-e-hastī miTā.eñge bhalā jām-o-subū kab tak

    bahāroñ hai aamad jinheñ da.avā vo batlā.eñ

    chaman meñ aa.egī āḳhir bahār-e-rañg-o-bū kab tak

    balā-noshoñ ko aatā hai tarīq-e-zindagī nāseh

    janāb-e-shaiḳh sīkheñge tarīq-e-guftugū kab tak

    kabhī to aarzū bar aa.egī jāñbāz apnī bhī

    bil-āḳhir apne ashkoñ se kareñge ham vuzū kab tak

    hamare dil mein machlegi kisi ki aarzu kab tak

    junun-e-ishq mein bhaTkenge hum yun ku-ba-ku kab tak

    ye kya manzil na aaegi hamare ru-ba-ru kab tak

    rahenge dasht-e-ghurbat mein asir-e-justaju kab tak

    gham-e-hasti ka bhi kuchh to mudawa DhunDhna hoga

    gham-e-hasti miTaenge bhala jam-o-subu kab tak

    bahaaron ki hai aamad ka jinhen dawa wo batlaen

    chaman mein aaegi aaKHir bahaar-e-rang-o-bu kab tak

    bala-noshon ko aata hai tariq-e-zindagi naseh

    janab-e-shaiKH sikhenge tariq-e-guftugu kab tak

    kabhi to aarzu bar aaegi jaanbaz apni bhi

    bil-aKHir apne ashkon se karenge hum wuzu kab tak

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 97)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now