Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare sar har ek ilzam dhar bhi sakta hai

Sharib Mauranwi

hamare sar har ek ilzam dhar bhi sakta hai

Sharib Mauranwi

MORE BYSharib Mauranwi

    hamāre sar har ik ilzām dhar bhī saktā hai

    vo mehrbāñ hai ye ehsān kar bhī saktā hai

    chaman apnī bahāroñ pe itnā naaz na kar

    shajar se husn zevar utar bhī saktā hai

    vo jis ne ziist guzārī hai qaid-e-zulmat meñ

    vo ik kiran se ujāle Dar bhī saktā hai

    kahāñ tak aap lagā.eñge us pe zabt ke bāñdh

    kabhī ye āñkhoñ dariyā biphar bhī saktā hai

    ye ḳhaak o sañg kyā sat.h-e-āb par 'shārib'

    hamārā naqsh-e-qadam hai ubhar bhī saktā hai

    hamare sar har ek ilzam dhar bhi sakta hai

    wo mehrban hai ye ehsan kar bhi sakta hai

    chaman tu apni bahaaron pe itna naz na kar

    shajar se husn ka zewar utar bhi sakta hai

    wo jis ne zist guzari hai qaid-e-zulmat mein

    wo ek kiran se ujale ki Dar bhi sakta hai

    kahan tak aap lagaenge us pe zabt ke bandh

    kabhi ye aankhon ka dariya biphar bhi sakta hai

    ye KHak o sang hi kya sath-e-ab par 'shaarib'

    hamara naqsh-e-qadam hai ubhar bhi sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now