hamare waste hai ek jina aur mar jaana
hamāre vāste hai ek jiinā aur mar jaanā
ki ham ne zindagī ko jāda-e-rāh-e-safar jaanā
yakāyak manzil-e-āfāt-e-ālam se guzar jaanā
Dareñ kyuuñ maut se jab hai isī kā naam mar jaanā
tirī nazroñ se gir jaanā tire dil se utar jaanā
ye vo uftād hai jis se bahut achchhā hai mar jaanā
javāb-e-abr-e-naisāñ tujh ko ham ne chashm-e-tar jaanā
ki har ik qatra-e-ashk-e-chakīda ko guhar jaanā
talātum aarzū meñ hai na tūfāñ justujū meñ hai
javānī kā guzar jaanā hai dariyā kā utar jaanā
ham apne rahzan o rahbar the lekin sāda-lauhī se
kisī ko rāhzan samjhe kisī ko rāhbar jaanā
maiñ aise rāh-rau kī justujū meñ mar miTā jis ne
tan-e-ḳhākī ko rāh-e-ishq meñ gard-e-safar jaanā
lab-e-bām aa.e tum aur un ke chehre ho ga.e phīke
qamar ne tum ko ḳhurshīd aur sitāroñ ne qamar jaanā
na bhūlegā hameñ 'mahrūm' sub.h-e-roz-e-mahshar tak
kisī kā maut ke āġhosh meñ vaqt-e-sahar jaanā
hamare waste hai ek jina aur mar jaana
ki hum ne zindagi ko jada-e-rah-e-safar jaana
yakayak manzil-e-afat-e-alam se guzar jaana
Daren kyun maut se jab hai isi ka nam mar jaana
teri nazron se gir jaana tere dil se utar jaana
ye wo uftad hai jis se bahut achchha hai mar jaana
jawab-e-abr-e-naisan tujh ko hum ne chashm-e-tar jaana
ki har ek qatra-e-ashk-e-chakida ko guhar jaana
talatum aarzu mein hai na tufan justuju mein hai
jawani ka guzar jaana hai dariya ka utar jaana
hum apne rahzan o rahbar the lekin sada-lauhi se
kisi ko rahzan samjhe kisi ko rahbar jaana
main aise rah-rau ki justuju mein mar miTa jis ne
tan-e-KHaki ko rah-e-ishq mein gard-e-safar jaana
lab-e-baam aae tum aur un ke chehre ho gae phike
qamar ne tum ko KHurshid aur sitaron ne qamar jaana
na bhulega hamein 'mahrum' subh-e-roz-e-mahshar tak
kisi ka maut ke aaghosh mein waqt-e-sahar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.